Labzon main to hamare aap hamsha hi rehte hain,
Khwuaish hai kabi hum aap ke khayalon main ho.
Chaand ki kirnon ko to aksar dekha hai,
Khwuaish hai ki kabhi un aankhoin ki thandak to ho.
Saath de ne ke liye hume to bahut milte hain,
Khwuaish hai kabhi aap ka ahsaas to mehsus ho.
Haseenaen to unginat hi dikh jati hain,
Khwuaish hai ki kisi ek main aap sa nazaakat to ho.
Phul to aap ko koi bhi de sakta hai,
Khwuaish hai aap se pehele kaanton pe humari ungli ho,
Dua to aap ke liye koi bhi kar sakta hai,
Khwuaish hai aap ka dard sehne wala dil hamara ho,
Zaban se nikle laabz to har koi samajh ta hai,
Khwuaish hai aapko in nazron ke alfaaz ki samjh ho,
Jane ke baad to har koi yaad aata hai,
Khwuaish hai ki aapke ke dil main hari panah ho.
