Tinka tinka jod ke humne jo aasiyana banaya tha,
Kuch kafir aa ke use khandhar kar gaye,
Pyar muhabaat se jis aangan ko seencha tha,
Use bahan ko wo banjaar kar gaye!
Kaise kaise khuab humne firoya tha,
Wo saare pairon se kuchal gaye,
Khuun pasine se jo haasil kiya tha,
Use pal main hi fanah kar gaye!
Khud to jehhadi wo keh gaye,
Dharm aur imaan ke baat karte the,
Janwar se bi wo battar ho gaye!
Unhe kosh ne na maan karta tha,
Apni hi zubaan ganda hoga so hum chup ho gaye,
Kuch bol bhi de te to kya farak padta tha,
Un ke andaar ke insaan ko to wo kab ka hi maar gaye!

0 comments:
Post a Comment